kya kahooN tum se maiN key kya hai ishq


kyaa kahooN tum se maiN ke kyaa hai ishq
jaan kaa rog hai, balaa hai ishq

ishq hi ishq hai jahaaN dekho
saare aalam meiN bhar rahaa hai ishq

ishq maashuq ishq aashiq hai
yaani apnaa hi mubtalaa hai ishq

ishq hai tarz-o-taur ishq ke ta'een
kaheeN bandaa kaheeN KHudaa hai ishq

kaun maqsad ko ishq bin pohoNchaa
aarzoo ishq wa mudd'a hai ishq

koi KHwaahan naheeN mahabbat kaa
too kahe jins-e-narawaa hai ishq

"Meer" ji zarad hote jaate hain
kyaa kaheeN tum ne bhi kiyaa hai ishq