jis sar ko Guroor aaj hai
jis sar ko Guroor aaj hai yaaN taaj-wari kaa
kal us pe yaheeN shor hai phir noha-gari kaa
aafaaq ki manzil se gayaa koun salaamat
asbaab luTaa raah meN yaaN har safari kaa
zindaaN meN bhi shorash na gayi apne junooN ki
ab sang madaawa hai is ashufta-sari kaa
har zaKHm-e-jigar daawar-e-maHshar se hamaaraa
insaaf talab hai teri be-daad-gari kaa
apnee to jahaaN aaNkh laRee phir waheeN dekho
a'ine ko lapkaa hai pareshaaN-nazari kaa
sad mousam-e-gul ham ko tah-e-baal hee guzare
maqdoor na dekhaa kabhoo be-baal-o-pari ka
us ke rang se jhamke hai palak par kah kahe to
TukRaa hai mera ashk aqeeq-e-jigari kaa
kal sair kiyaa hamne samandar ko bhee jaa kar
thaa dast-e-nagar panja-e-mushrikaaN ki tari kaa
le saaNs bhee ahistaa ke naazuk hai bahut kaam
aafaaq kee is kargah-e-sheesha-gari kaa
Tuk "Meer" jigar soKHta kee jald KHabar le
kyaa yaar bharosaa hai chiraaG-e-sahari ka