Gam rahaa jab tak


Gam rahaa jab tak ki dam meN dam rahaa
dil ke jaane kaa nihaayat Gam rahaa

husn thaa teraa bohot 'alam fareb
KHat ke aane par bhee ik 'alam rahaa
['alam fareb = alluring/enticing]

mere rone kee Haqeeqat jis meN thee
ek muddat tak vo kaaGaz nam rahaa
[nam = moist]

jaam'a-e-eHraam-e-zaahid par na jaa
thaa Haram meN lek naa-maHram rahaa
[jaam'a-e-eHraam = pilgrim's robe] [zaaHid = preacher]
[Haram = mosque/kaaba] [naa-maHram = immodest/impure]